Post lamba hai. Baat jaruri hai. Time ho to aage padhe.
I see a lot of people have a serious question about trading. The question is "mai paper trading mey profit bana raha hu, kya mai real trading shuru kar sakta hu?". And, "Maine paper trading mey 10 lakh ko 40/50/60 Lakh etc etc tak bana diya hai, mujhe real trading mey profit kyu nahi ho raha? " Sawaal bohot important hai, aur iska jawaab 50% logo ney almost negative hi diya hai. Aisa ki Jis se sawaal karne wale ka confidence low ho jaye aur confusion badd jaye. To mai apko apni personal opinion share kar raha hu. Apko jarur ek positive feel ayegi.
Mai obvious baato mey nahi jaunga ki trading seekho, chart seekho, pattern seekho etc, money management etc phir trading karo. Ye baate to kaun nahi jaanta. Bina seekhe aap real trading mey profit bana hi nahi sakte, isliye ye technical baate to sabko pata hai ki jaruri hai, mai unka gyan nahi dene wala yaha.
To paper trading mey accha profit kiya hai, to kya ab real trading shuru kardi jaye?
Point no. 1) Paper trading mey jo apne huge profit kiya hai uske liye apne capital use kiya hai 10 lakh, correct. Kya apke paas real trading ke liye 10 lakh hai? Agar nahi hai to aap khud samjh jaiye ki mai kya kehna chah rha hu.
Point no. 2) Paper trading account ko aapne kitni baar reset karke wo 40-50-60 lakh ka profit banaya hai? Agar aapne 3-4 baar account reset kiya phir jaake wo profit bana, to sir samajh lijiye real trading mey bhi aapko 30-40 lakh ya jitni baar bhi account reset kiya utna capital lagega. Tab jaake aap paper trading jitna profit bana payenge. Kya aapke paas REAL account ko 3-4 baar reset karne ke (30-40lakh) paise hai?
Point no. 3) Apke paas real trading karne ke liye 1-2 Lakh ya jo bhi capital hai apke paas, paper trading account ko pehle us capital par lekar aaiye. Aur phir us paper money se trade kijiye. Tabhi apko ground reality pata chalegi. Ya phir apni real capital ko paper capital jitna (10 lakh) karlo aur phir trading karo. Vice versa. Tabhi results same ayenge, aur uske liye point number 1 & 2 ko dubara pad lo.
Point no. 4) Paper trade mey 10 lakh ki wajh se aap lots jyada le sakte hi. Lot size bada hone ki wajh se apko bada profit dekhne ki aadat pad jati hai. Aur yaha ho jata hai psychological game. Real trading mey kum capital hota hai to lot size bhi chota rehta hai. Lekin psychologically apko bada profit dekhne ki aadat hone ki wajah se aap real trade mey chota profit book hi nahi karte aur loss mey jaate ho. Agar aap paper trade ko 10k profit par book kar rahe ho to real trading mey kum lots mey aapko utne hi points mey 10k profit kaha milega. Isliye percentage nikalo aur usi hisab se book karo, ap real trade mey bhi profitable banoge. Likh ke deta hu.
Point no. 5) Agar apko trading aa gayi hai to phir game capital ka ho jata hai. Apke paas real capital kum hai koi issue nahi hai bro, paper trading wale same style se trading karo, profit ka percentage nikalo aur book karo, paper trading mey profit 1% par hi book kar lete ho to real mey bhi same karo. Paper trading mey losing position se ekdum exit kar lete ho to real mey bhi same to same karo. aap jarur successful honge.
Maine itna sab likh diya to shayad apke mann mey ayega ki mera portfolio jaake to dekhe ki scene hai. Rehne dijiye mai khud hi bata deta hu. Maine ek hi baar account reset kiya tha 5 june 2023 ko -6.85% par. Phir ek accha level cross kar liya tha abse 1-2 din pehle. Ab mai intentionally apne account ko blow kar raha hu (Point no. 3☝) . Taki mai ab us paper capital se trade karu jo real mey mere paas hogi.
Anyway, i hope mere post se apko apke sawaalo ka ek constructive answer mila hoga. Mindset, trading style and CAPITAL same rakho, to agar paper trading mey profit mey ho to aap real trading mey bhi success paa loge. Best of luck. 🍀